Ramadan wishing Ramadan informed sms urdu and english

Asalam o Aliakum warematulahi barakatu All muslim Sister and brother. I hope aap ko in messages sai Ramadan ka barah mai basic information mili ho Aap mare blog mai ager koi tabdili chahty hai ya koi post aap ko pasand nhi hai toh mujha is mail par contact karate
Qasim78630@gmail.com
And have Nice day Allah Aap sab muslim ki jayaz duao ko Qabol karay Aameen Ya Allah ya Rehman

Ramadan no 1

One Ramadan can make such a difference towards your position in Jannah.May Allah allow us to be the first batch of Muslims to enter Jannah In’shaa’Allah Have a merciful Ramadan..!!

Ramadan no 2

Ramadan Daily Dua ::O Allah, on this day,make my efforts worthy of appreciation,
and my sins forgiven,my deeds accepted,my flaws concealed,O the best of those who hear.

Ramadan no 3

I wish this Ramadan will infuse you with courage that will help be triumphant
over the adversities of life…Happy Ramadan Mubarak..!!

Ramadan no 4

Mukhtasir Magar Anmol Jumla !!!!!Zindagi Ko ramzan Jaisa Bana Lo !!!!To Mout Eid Jaisi HoGi..!!Happy Ramadan…:)

Ramadan no 5

We may not have another Ramadan,so it’s my humble request to all my Muslim brothers and sisters to use this Ramadan wisely……‪

Ramadan no 6

I wish this Ramadan will infuse you with courage that will help be triumphant
over the adversities of life… Happy Ramadan Mubarak..!!

Ramadan no 7

May ALLAH bestowed you peace, serenity , tranquility and health in this holy month
of Ramadan along with his blessing and bliss. Happy Ramadan Ul Mubarak…

Ramadan no 8

Lets renew our approach to Ramadan. It is a month in which we should produce greater actions that last throughout the year

Ramadan no 9

Holy Ramadan is Guest To Us And Today is Last Friday of Ramadan Most of us Wishing Advance Eid ul Fitr But I’m Still Missing the Blessings of Ramadan. By The End of Ramadan I just Pray Allah to Forgive All of us And Bring Peace in Our Lives.

Ramadan no 10

Alwida To The Month Of Mercy, Alwida To The Month Of Forgiveness, Alwida To The Month Of Protection Against Fire. Alwida To The Month Of Generosity, Alwida To The Month Of Kindness,Alwida To The Month Of Patience.Alwida To The Most Blessed Month Of The Year,
Alwida Ramadan!

Ramadan informed
.
. Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ne farmaya.jis ne ALLAH ki raza ke liye ek din ka roza rakha,ALLAH ta'ala us ko jahannam se itna door kardega jaisay kawwa ke jab baccha tha,us waqt se udta raha yaha'n tak ke bodha ho kar mara.(Bahar e Shariat,part 5,)

Ramadan informed
.
Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ne farmaya.agar kisi ne ek din nafil roza rakaha aur zameen bhar use sona(gold) diya jae,jab bhi us ka sawab poora na ho ga.us ka sawab qayamat hi ke din mile ga.(Bahar e Shariat,part 5,)

Ramadan information
.
Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ne farmaya.har cheez ke liye zakat hai aur badan ki zakat roza hai aur roza nisf sabr hai.(Bahar e Shariat,part 5,)

Ramadan information
.
Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ne farmaya.jo banda ALLAH ki rah men ek din ka roza rakhe,ALLAH ta'ala us ke munh ko dozakh se 70 baras ki rah door farma dega(Bahar e Shariat,part 5,)

Ramadan information
.
Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ne farmaya.jo banda ALLAH ki rah men ek din ka roza rakhe,ALLAH ta'ala us ke aur jahannum ke darmiyan ALLAH ta'ala itni badi khandaq karde ga,jitna aasman wo zameen ke darmiyan fasla hai.(Bahar e Shariat,part 5,)

Ramadan information
.
Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam farmate hain.roza dar ki dua aftar ke waqt rad nahi ki jati.(Bahar e Shariat,part 5,)

Ramadan information
.
Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam farmate hain.jis ne ramzan ka roza rakha aur us ki hudood ko pahechana aur jis cheez se bachna cah'hiye us se bacha to jo pahele kar chuka hai us ka kaffara ho gaya.(Bahar e Shariat,part 5,)

Ramadan information
.
Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ne farmaya.jis ne makkah me mahe ramzan paya aur roza rakha aur rat men jitna mayassar aya qayam kiya to ALLAH ta'ala us ke liye aur jaga ke 1 lakh ramzan ka sawab likhe ga aur har din ek gardan aazad karne ka sawab aur har rat ek gardan aazad karne ka sawab aur har roz jehaad men ghode par sawar kardene ka sawab aur har din men hasna aur har rat men hasna likhe ga.(Bahar e Shariat,part 5,)

Ramadan information
.
Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ne farmaya.agar bando'n ko maloom hota ke ramzan kiya cheez hai to meri ummat tamanna karti ke pora sal ramzan hi ho.(Bahar e Shariat,part 5,)

Ramadan information
.
Rat ke waqt roze ke niyyat ki subh gashi ki halat men houi aur ye gashi kai din tak tari rahi to sirf pahele din ka roza huwa baqi dino'n ki qaza rakhe,agarcha pure ramzan bhar gashi rahi agarache niyyat ka waqt na mila.(Dure Mukhtar)

Ramadan information
.
Saheri khana bhi niyyat hai khowa ramzan ke roze ke liye ho ya kisi aur roze ke liye magar jab saheri khate waqt ye irada hai ke subh ko roza na hoga to saheri khana niyyat nahi.(Bahar e Shariat,part 5,)

Ramadan information
.
"Aae imaan walo'n tum par roze farz kiye gaye jaisay aglo'n par farz howe the ke tumhe'n parhezgari mile"(Quran 2:183)

Ramadan information
.
Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ne farmaya.jab ramzan aata hai,aasman ke darwaze khol diye jate hain.(Bukhari shareef,)

Ramadan information
.
Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ne farmaya.jab ramzan aata hai to rahemat ke darwaze khol diye jate hain aur jahannum ke darwaze band kar diye jate hain aur shyateen zanjero'n men jakad diye jate hain.(Bahar e Shariat,part 5,)

Ramadan information
.
Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ne farmaya.ramzan aaya,ye barkat ka mahena hai,ALLAH ta'ala ne is ke roze tum par farz kiye,is me aasman ke darwaze khol diye jate hain aur dozakh ke darwaze band kar diye jate hain aur sarkash shaitano'n ke taoq dal diye jate hain aur is men ek rat aisi hai jo 1000 maheno'n se bahetar hai,jo is ki bhalai se maherom raha,wo be shak maherom hai.(Bahar e Shariat,part 5,)

Ramadan information
.
Jab ramzan ka mahena aaya to Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ne farmaya.ye mahena aaya,is me ek rat 1000 maheno'n se bahetar hai,jo is se maheroom raha,wo har cheez se maherom raha aur is ki khair se wahi maherom hoga,jo poora maheroom hai.(Bahar e Shariat,part 5,)

Ramadan information
.
Baheqi Ibne Abbas RadiALLAHuanh se ravi,kahete hain,jab ramzan ka mahena aata Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam sab qaidiyo'n ko riha farma dete aur har sail ko ata farmate.(Bahar e Shariat,part 5,)

Ramadan information
.
Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ne farmaya.jannat ibtedae sal se sal e aindah tak ramzan ke liye aarasta ki jati hai,jab ramzan ka pahela din aata hai to jannt ke patto'n se arsh ki ek hawa hore aen par chalti hai,wo kaheti hain,aae Rab!to apne bando'n se hamare liye un ko shawhar bana,jin se hamari aankhe'n thandi hu'n aur un ki aankhe'n hum se thandi hu'n.(Bahar e Shariat,part 5,)

Ramadan information
.
Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ne farmaya.Ramzan ki aakhir shab me is ummat ki maghferat hoti hai.arz ki gai,kya wo shabe qadr hai?farmaya.nahi lekin kaam karne wale ko us waqt mazdori poori di jati hai,jab kaam poora karle.(Bahar e Shariat,part 5,)

Ramadan information
.
Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam farmate hain.jannat me 8 darwaze hain,in men ek darwaze ka nam rayyan hai,is darwaze se wahi jae'n ge jo roza rakhte hain.(Bahar e Shariat,part 5,)

Ramadan information
.
Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ne farmaya.jo imaan ki waja se aur sawab ke liye ramzan ka roza rakhega,us ke agle gunah bakhsh diye jainge.(Bahar e Shariat,part 5,)

Ramadan information
.
Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ne farmaya.roza wo Quran bande ke liye shafa'at kare'n ge,roza kahe ga aae Rab!main ne khane aur khawishu'n se din bhar ise rok diya,meri shafa'at is ke haq men qubool farma.Quran kahega,aae Rab!main ne ise rat men sone se baz rakha,meri shafa'at is ke haq men qubool kar.dono'n ki shafa'at qubool ho gi.(Bahar e Shariat,part 5,)

Ramadan information
.
Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ne farmaya.jis ne ALLAH ki rah men kharch kiya,us ko 700 ka sawab mile ga.1 dirham ka 700 dirham aur 1 dinar ka 700 dinar aur roza ALLAH ke liye hai,is ka sawab ALLAH ke siwa koi nahi janta.(Bahar e Shariat,part 5,)

Ramadan information
.
Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ne farmaya.jis ne ALLAH ki rah men kharch kiya,us ko 700 ka sawab mile ga.1 dirham ka 700 dirham aur 1 dinar ka 700 dinar aur roza ALLAH ke liye hai,is ka sawab ALLAH ke siwa koi nahi janta.(Bahar e Shariat,part 5,)

No comments:

Post a Comment