ALLAH qudrat wala hai.be shak ALLAH sab kuch kar sakta hai" (Quran 2:20)
ALLAH jhoont se paak hai wo saccha hai. "tum farmao ALLAH saccha hai" (Quran 3:95)
ALLAH sun'ne wala aur dekhne wala hai. "be shak wo sunta dekhta hai" (Quran 17:1)
ALLAH awlad se paak hai. "na Us ki koi awlad aur na wo kisi se paida huwa" (Quran 112:3)
Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ka logon ko nemat ata farmana.
"Aur kya hi achcha hota agr wo is par razi hote jo ALLAH aur rasool ne un ko diya aur kahete haumain ALLAH kafi hai ab deta hai humain apne fazl se ALLAH ka rasool humain ALLAH hi ki taraf ragbat hai" (Quran 9:59)
Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ki khatir ummat ko muzdae bakhshish.
"Aur be shak qareeb hai ke tumhara rab tumhain itna dega ke tum razi ho jao ge" (Quran 93:5)
Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ka apni ata se mala maal farma kar gani karna.
"Aur unhain kya bura laga yahi na ke ALLAH wo Rasool ne unhain apne fazl se gani kar diya" (Quran 9:59)
Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ka nemate'n ata farmana.
"Aur ae maheboob yaad karo jab tum farmate the us se jise ALLAH ne ne'mat di aur tum ne use ne'mat de"(Quran 33:37)
ALLAH ka farman Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ke liye mangto'n ko khali na bhejo.
"Aur mangta ko na jhir ko"(Quran 93:10)
ALLAH paak apne muntakhab bandon ko ilm gaib ata fermata hai.
"Aur ALLAH ki ye shaan nahi ke ae aam logon tumhe'n gaib ka ilm de de han ALLAH chun leta hai apne Rasoolo'n se jise cha'he"(Quran 3:179)
Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam jo kuch nahi jante the wo sab sikhaya gaya.
"Aur tumhe'n sikhadiya jo kuch tum na jante the aur ALLAH ka tum par bada fazl hai"(Quran 4:113)
Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ne dilo'n ke chope hue raaz afsha farmadiye.
"Ae iman walon aisi bate'n na poocho jo tum par zahir ki jai'n to tumhe'n buri lage'n aur agr unhe'n us waqt pocho ge ke quran utar raha hai to tum par zahir kar di jae'n gi ALLAH unhe'n maaf kar chuka hai aur ALLAH bakhshne wala hilm wala hai"(Quran 5:101)
ALLAH ne Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ko sare uloom sikhae.
"RAHMAN ne apne maheboob SallALLAHu Alaihi Wasallam ko Quran sikhaya insaniyat ki jaan mohammed SallALLAHu Alaihi Wasallam ko paida kiya ma kaana wa mayakoon ka bayan unhain sikhaya"(Quran 55:1 to 4)
Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam gaib batane main bukhl nahi karte.
"Aur yeh Nabi gaib batane men bakheel nahi'n"(Quran 81:24)
Shafa'at e Mustafa jan e rahemat SallALLAHu Alaihi Wasallam.
"Aur hum ne koi Rasool na bheja magar is liye ke ALLAH ke hukm se us ki ata'at ki jae aur agr jab wo apni jano'n par zulm kare'n to ae maheboob tumhare Huzoor hazir hu'n aur phir ALLAH se maafi cahhe'n aur Rasool un ki shafa'at farmae to zaroor ALLAH ko bahot taoba qabool karne wala maherban pai'n"(Quran 4:64)
Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam muqaam e mahmood par.
"Aur raat ke kuch hisse me'n tahajjud karo(namaz e tahajjud padho)ye khas tumhare liye ziyada hai qareeb hai ke tumhe'n tumhara raab aisi jagha khada kare jhan sab tumhari hamd kare'n"(Quran 17:79)
Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam khas wo aam ke shafe.
"To jaan lo ke ALLAH ke siva kisi ki bandagi nahi aur ae maheboob apne khaso'n aur aam musalman mardo'n aur awrto'n ke gunahu'n ki maafi mango aur ALLAH janta hai din ko tumhara phirna aur raat ko tumhara aaram lena"(Quran 47:19)
Munafqeen ka shafa'at e Rasool SallALLAHu Alaihi Wasallam se inkar.
"Aur jab un se kaha jae ke aao RasoolALLAH tumhare liye maafi cahhe'n to apne sir ghumate hain aur tum unhe'n dekho ke gaur karte houe munh pher lete hain"(Quran 63:5)
Shafa'at ki qabooliyat ka wada.
"Aur be shak qareeb hai ke tumhara rab tumhe'n itna de ga ke tum razi ho jao ge"(Quran 93:5)
Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ki be adbi par dardnaak azab.
"Ae imaan walo'n! raena na kaho aur yu'n arz karo ke Huzoor hum par nazar rakhe'n aur pahele hi se bagaor suno aur kafiron ke liye dardnaak azab hai.(Quran 2:104)
Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ke ghar men apni marzi se nahi ja sakte.
"Ae imaan walo'n! Nabi ke gharo'n me'n na hazir ho jab tak izn(ijazat) na paao" (Quran 33:53)
Imaan ke baad pahela farz tazeem e Rasool SallALLAHu Alaihi Wasallam hai.
"Ta ke ae logo'n tum ALLAH aur us ke Rasool par imaan lao aur Rasool ki tazeem wo taoqer karo aur subh wo sham us ki paaki bolo"(Quran 48:9)
.
"Ae imaan walo'n! apni aawaze'n ownchi na karo is gaib batane wale (nabi)ki aawaz se aur in ke huzoor baat chilla kar na kaho jaisay aapas main ek dosre ke samne chillate ho ke kahe'n tumhare amal akarat na ho jain aur tumhe'n khabar na ho"(Quran 49:2)
Jo Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ko bahar se aawaz de wo be aql hai.
"Be shak wo jo tumhe'n hujro'n ke bahar se pukarte hain in me'n aksar be aql hain" (Quran 49:4)
Aamad e Rasool ke liye dua e Khaleel.
"Ae rab hamare aur bhej in main se ek Rasool inhi me'n ,ke in par teri aayate'n tilawat farmae aur inhe teri kitab aur pukhta ilm sikhae aur inhe khoob suthra farmade'n be shak tu hi galib hikmat wala"(Quran 1:29)
Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ALLAH ki daleel ban kar aee.
"Ae logo'n be shak tumhare pas ALLAH ki taraf se wazeh daleel aai aur hum ne tumhari taraf roshan noor utaara"(Quran 4:174)
"Be shak hum ne tumhe'n bheja hazir wo nazir aur khushi aur dar sunata"(Quran 48:8)
Mojza e shaqqul qamar.
"Pas aai qayamat aur shaq huwa chand"(54:1)
"Tum to dar sunane wale ho aur har qaom ke hadi"(Quran 13:7)
No comments:
Post a Comment