New Nokia

Al Quran kareem 101 urdu test messages

                       No 1

ALLAH khobiyon wala palnewala maherban hai. sab khoobiyan ALLAH ko jo malik sare jhan waloon ka bahot maherban rahemat wala'' (Quran 1:1,2)

                     No 2

ALLAH qudrat wala hai.be shak ALLAH sab kuch kar sakta hai" (Quran 2:20)

                     No 3

ALLAH marne aur maut ke baad zinda farmane wala hai. bhla tum kiyo'n kar khuda ke munkir ho gae halanke tum murda the us ne tumhe'n jilaya phir tumhe'n mare ga phir tumhe'n jilae ga phir usi ki taraf palat kar jao ge"  (Quran2:28)

                     No 4

ALLAH ek hai us ke siva koi ibadat ke laiq nahi hamesha se hai hamesha rahhega neend aur ongh se paak hai. "ALLAH hai jis ke siva koi ma'bood nahi wo aap zinda aur auroon ka qaim rakhne wala use na ongh hai na neend.    (Quran 2:255)

                     No 5

ALLAH jhoont se paak hai wo saccha hai. "tum farmao ALLAH saccha hai"   (Quran 3:95)

                     No 6

Poori kaynaat ka khalique sirf ALLAH hai. "aur us ne har cheez paida ki aur wo sab kuch janta hai.   (Quran 6:101)

                     No 7

ALLAH sun'ne wala aur dekhne wala hai. "be shak wo sunta dekhta hai"  (Quran 17:1)

                     No 8

ALLAH kun fayakun ki taqat wala hai. "Us ka kaam to yahi hai ke jab kisi cheez ko chahay to us se farmade hoja wo faoran ho jati hai"   (Quran 36:82)

                     No 9

ALLAH bandoon ki shahe rag se bhi ziyada qareeb hai. "Aur hum dil ki rag se bhi us se ziyada nazdeek hain.    (Quran 50:16)

                     No 10

ALLAH awlad se paak hai. "na Us ki koi awlad aur na wo kisi se paida huwa"   (Quran 112:3)

                     No 11

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ki khooshi ke liye qibla tabdeel huwa. "Ham dekh rahe hain bar bar tumhara aasman ki taraf mun karna to zaroor hum pher daenge us qibla ki taraf jis main tumhari khoshi hai"    (Quran 2:144)

                     No 12

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ka logon ko nemat ata farmana.
"Aur kya hi achcha hota agr wo is par razi hote jo ALLAH aur rasool ne un ko diya aur kahete haumain ALLAH kafi hai ab deta hai humain apne fazl se ALLAH ka rasool humain ALLAH hi ki taraf ragbat hai"    (Quran 9:59)

                     No 13

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ki khatir ummat ko muzdae bakhshish.
"Aur be shak qareeb hai ke tumhara rab tumhain itna dega ke tum razi ho jao ge"     (Quran 93:5)

                     No 14

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ka apni ata se mala maal farma kar gani karna.
"Aur unhain kya bura laga yahi na ke ALLAH wo Rasool ne unhain apne fazl se gani kar diya" (Quran 9:59)

                     No 15

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ka nemate'n ata farmana.
"Aur ae maheboob yaad karo jab tum farmate the us se jise ALLAH ne ne'mat di aur tum ne use ne'mat de"(Quran 33:37)

                     No 16

ALLAH ka farman Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ke liye mangto'n ko khali na bhejo.
"Aur mangta ko na jhir ko"(Quran 93:10)

                     No 17

ALLAH paak apne muntakhab bandon ko ilm gaib ata fermata hai.
"Aur ALLAH ki ye shaan nahi ke ae aam logon tumhe'n  gaib ka ilm de de han ALLAH chun leta hai apne Rasoolo'n se jise cha'he"(Quran 3:179)

                     No 18

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam jo kuch nahi jante the wo sab sikhaya gaya.
"Aur tumhe'n sikhadiya jo kuch tum na jante the aur ALLAH ka tum par bada fazl hai"(Quran 4:113)

                     No 19

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ne dilo'n ke chope hue raaz afsha farmadiye.
"Ae iman walon aisi bate'n na poocho jo tum par zahir ki jai'n to tumhe'n buri lage'n aur agr unhe'n us waqt pocho ge ke quran utar raha hai to tum par zahir kar di jae'n gi ALLAH unhe'n maaf kar chuka hai aur ALLAH bakhshne wala hilm wala hai"(Quran 5:101)

                       No:20

ALLAH ne Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ko sare uloom sikhae.
"RAHMAN ne apne maheboob SallALLAHu Alaihi Wasallam ko Quran sikhaya insaniyat ki jaan mohammed SallALLAHu Alaihi Wasallam ko paida kiya ma kaana wa mayakoon ka bayan unhain sikhaya"(Quran 55:1 to 4)

                      No:21

Pasandeda Rasoolo'n ko ilm gaib. "Gaib ka jan'nne  wala to apne gaib par kisi ko musallat nahi karta sivae apne pasandeeda Rasoolo'n ke"(Quran 72:26)

                      No:22

Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam gaib batane main bukhl nahi karte.
"Aur yeh Nabi gaib batane men bakheel nahi'n"(Quran 81:24)

                      No:23

Shafa'at e Mustafa jan e rahemat SallALLAHu Alaihi Wasallam.
"Aur hum ne koi Rasool na bheja magar is liye ke ALLAH ke hukm se us ki ata'at ki jae aur agr jab wo apni jano'n par zulm kare'n to ae maheboob tumhare Huzoor hazir hu'n aur phir ALLAH se maafi cahhe'n aur Rasool un ki shafa'at farmae to zaroor ALLAH ko bahot taoba qabool karne wala maherban pai'n"(Quran 4:64)

                      No:24

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam muqaam e mahmood par.
"Aur raat ke kuch hisse me'n tahajjud karo(namaz e tahajjud padho)ye khas tumhare liye ziyada hai qareeb hai ke tumhe'n tumhara raab aisi jagha khada kare jhan sab tumhari hamd kare'n"(Quran 17:79)

                      No:25

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam khas wo aam ke shafe.
"To jaan lo ke ALLAH ke siva kisi ki bandagi nahi aur ae maheboob apne khaso'n aur aam musalman mardo'n aur awrto'n ke gunahu'n ki maafi mango aur ALLAH janta hai din ko tumhara phirna aur raat ko tumhara aaram lena"(Quran 47:19)

                      No:26

Munafqeen ka shafa'at e Rasool SallALLAHu Alaihi Wasallam se inkar.
"Aur jab un se kaha jae ke aao RasoolALLAH tumhare liye maafi cahhe'n to apne sir ghumate hain aur tum unhe'n dekho ke gaur karte houe munh pher lete hain"(Quran 63:5)

                      No:27

Shafa'at ki qabooliyat ka wada.
"Aur be shak qareeb hai ke tumhara rab  tumhe'n itna de ga ke tum razi ho jao ge"(Quran 93:5)

                      No:28

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ki be adbi par dardnaak azab.
"Ae imaan walo'n! raena na kaho aur yu'n arz karo ke Huzoor hum par nazar rakhe'n aur pahele hi se bagaor suno aur kafiron ke liye dardnaak azab hai.(Quran 2:104)

                      No:29

Rasool SallALLAHu Alaihi Wasallam jab bulae'n hazir hona zarori hai chah'he jis kaam main ho. "Ae imaan walo'n! ALLAH wo Rasool ke bulane par hazir ho jab Rasool tumhe'n us cheez ke liye bulae'n jo tumhe'n zindagi bakhshe ge.(Quran 8:24)

                      No:30

"Rasool ke pukarne ko aapas men aisa na thehra lo jaisa tum me'n ek doosre ko pukarta hai" (Quran 24:63)

                      No:31

Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ke ghar men apni marzi se nahi ja sakte.
"Ae imaan walo'n! Nabi ke gharo'n me'n na hazir ho jab tak izn(ijazat) na paao" (Quran 33:53)

                     No:32

Imaan ke baad pahela farz tazeem e Rasool SallALLAHu Alaihi Wasallam hai.
"Ta ke ae logo'n tum ALLAH aur us ke Rasool par imaan lao aur Rasool ki tazeem wo taoqer karo aur subh wo sham us ki paaki bolo"(Quran 48:9)

                     No:33

"To woh jo us par imaan lae aur us ki tazeem kare aur use madad de aur us noor ki pairvi kare jo us ke sath utra wahi ba muraad houe"(Quran 7:157)

                     No:34

Kisi bhi mamle men Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam se pahel karne ki momaneat. "Ae imaan walo'n!ALLAH aur us ke Rasool se aage na badho aur ALLAH se daro ba shak ALLAH sunta janta hai"(Quran 49:1)

                     No:35

.
"Ae imaan walo'n! apni aawaze'n ownchi na karo is gaib batane wale (nabi)ki aawaz se aur in ke huzoor baat chilla kar na kaho jaisay aapas main ek dosre ke samne chillate ho ke kahe'n tumhare amal akarat na ho jain aur tumhe'n khabar na ho"(Quran 49:2)

                     No:36

"Be shak wo jo apni aawaze'n past karte hain RasoolALLAH ke pas wo hain jin ka dil ALLAH ne parhezgari ke liye parakh  liya hai un ke liye bakhsish aur bada sawab hai.(Quran 49:3)

                     No:37

Jo Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam  ko bahar se aawaz de wo be aql hai.
"Be shak wo jo tumhe'n hujro'n ke bahar se pukarte hain in me'n aksar be aql hain" (Quran 49:4)

                     No:38

Aamad e Rasool ke liye dua e Khaleel.
"Ae rab hamare aur bhej in main se ek Rasool inhi me'n ,ke in par teri aayate'n tilawat farmae aur inhe teri kitab aur pukhta ilm sikhae aur inhe khoob suthra farmade'n be shak tu hi galib hikmat wala"(Quran 1:29)

                     No:39

Aamad e Mustafa SallALLAHu Alaihi Wasallam ahesan e Khuda wandi hai'n. "Be shak ALLAH ka bada ahesan huwa musalmano'n par ke un men unhi me'n se ek Rasool bheja jo un par us ki aayate'n padhta hai aur unhe'n paak karta hai aur unhe'n kitab wo hikmat sikhata hai aur wo zaroor is se pahele khuli gumarahi me'n the"(Quran 3:164)

                     No:40

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ki milaad ka zikr. "Be shak tumhare pas tashreef lae tum main se wo Rasool jin par tumhara mushaqqat me'nn panda gira'n hai tumhari bhalai ke nihayat cahhene wale muslmano'n par kamal maherban maherban"(Quran 9:128)

                     No:41

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ki milaad par izhar e musarrat wo kharch ki barkat. "Tum farmao ALLAH hi ke fazl aur usi ki rahemat aur usi par cahhiye ke khooshi kare'n wo in ke sab dhan dawlat se bahetar hai"(Quran 10:58)

                     No:42

Milaad e Rasool SallALLAHu Alaihi Wasallam se pahele aamad e Mustafa SallALLAHu Alaihi Wasallam ki basharat bazuban e Iesa alahissalam. "Aur yaad karo jab Iesa ibn Maryam ne kaha ae Bani Israil main tumhari taraf ALLAH ka Rasool hu'n apne se paheli kitab taorait ki tasdeque karta huwa aur in Rasool ki basharat sonata huwa jo mere baad tashreef lae'n ge un ka naam ahemad hai"(Quran 61:6)

                     No:43

"wahi hai jis ne an padhhu'n men unhi men se ek Rasool bheja ke un par us ki aayate'n padhte hain aur unhe'n kitab wo hikmat ka ilm ata farmate hain aur be shak wo is se pahele zaroor khuli gumarahi men the"(Quran 62:2)

                     No:44

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ALLAH ki daleel ban kar aee.
"Ae logo'n be shak tumhare pas ALLAH ki taraf se wazeh daleel aai aur hum ne tumhari taraf roshan noor utaara"(Quran 4:174)

                     No:45

Arsh par sab se paheli mahefil zikr e aamad e Rasool munaqed hoi jise quran main yon bayan farmaya gaya. "Aur yaad karo jab ALLAH ne paigambaro'n se un ka ahed liya jo main tum ko kitab wo hikmat du'n phir tashreef lae tumhare pas wo Rasool(mohammad SallALLAHu Alaihi Wasallam) ke tumhari kitabo'n ki tasdeeq farmae to tum zaroor zaroor us par imaan lana aur zaroor zaroor us ki madad karna farmaya kiyon tum ne iqrar kiya aur is par mera bhari zimma liya sab ne arz ki hum ne iqrar kiya farmaya to ek doosre par gawah ho jao aur main aap tumhare sath gawahhu'n me'n hoo'n"(Quran 3:81)

                     No:46

Noor Mustafa SallALLAHu Alaihi Wasallam ki aamad ka zikr. "Be shak tumhare pas ALLAH ki taraf se ek noor aaya aur roshan kitab"(Quran 5:15)

                     No:47

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ALLAH ki sab se badi ne'mat hain aur nemat ka charcha karne ka hukm hai. "Aur apne rab ki nemat ka khoob charcha karo"(Quran 93:11)

                     No:48

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam apni ummat ke nigehban hain. "Aur baat yu'n hi hai ke hum ne tumhe'n kiya sab ummato'n men afzal ke tum logo'n par gawah ho aur ye Rasool tumhare nigehban wo gawah"(Quran 2:143)

                     No:49

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam tamam ummato'n ke gawah aur nigehban hain. "To kaisi hogi jab hum har ummat se ek gawah lain ge aur aae Maheboob tumhe'n in sab par gawah aur nigehban bana kar lain ge"(Quran 4:41

                    No:50

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ki maojodgi se ummat ki ijtemaee azab se hifazat. "Aur ALLAH ka kam nahi ke inhe'n azab kare jab tak aae Maheboob tum in me'n tashreef farma ho aur ALLAH inhe'n azab karne wala nahi jab tak wo bakhsish mang rahe hain"(Quran 8:33)

                    No:51

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam hazir wo nazir hain. "Aae gaib ki khabre'n batane wale(Nabi)be shak hum ne tumhe'n bheja hazir wo nazir aur khush khabri deta aur dar sunata"(Quran 33:45)

                    No:52

"Be shak hum ne tumhe'n bheja hazir wo nazir aur khushi aur dar sunata"(Quran 48:8)

                    No:53

"Be shak hum ne tumhari taraf ek Rasool bheja ke tum par hazir nazir hain jaisay hum ne firaon ki taraf Rasool bheje"(Quran 73:15)

                    No:54

Me'raj e Mustafa SallALLAHu Alaihi Wasallam. "Paaki hai use jo apne bande ko rato'n rat le gaya masjid e haram se masjid e aqsa tak jis ke gird agird hum ne barkat rakhi ke hum use apni azeem nishaniya'n dikhain be shak wo sunta dekhta hai"(Quran 17:1)

                    No:55

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ka apne rab se qareeb hona aur kalaam farmana aur deedar karna. "Phir wo jalwa nazdeek huwa phir khoob utar aaya. to is jalwe aur us Maheboob main  do hath ka fasla raha balki us se bhi kam.ab wahi farmai apne bande ko jo wahi farmai.dil ne jhoont na kaha jo dekha"(Quran  53:8 to 11)

                    No:56

Ikhteyarat e Rasool SallALLAHu Alaihi Wasallam:cheezo'n ke halal aur haram karne ka ikhtiyar. "wo jo gulami kare'n ge is Rasool ki jo Nabi ummi hain use likha huwa pae'n ge apne paas taorait aur injeel men wo inhe'n bhalai ka hukm dega aur burai se mana farmae ga aur suthri cheeze'n in ke liye halal farmae ga aur Gandhi cheeze'n in par haram kare ga aur in par se wo bojh aur gale ke phande jo in par the utare ga"(Quran 7:157)

                    No:57

Halal wo haram ka qanoon banane ka ikhtiyar ALLAH ne apne Maheboob ko ata farmaya hai. "lado un se jo imaan nahi late ALLAH par aur qayamat par aur haram nahi mante us cheez ko jis ko haram kiya ALLAH aur us ke Rasool ne aur sacche deen ke tabe nahi'n hote yani jo kitab diye gaye jab tak apne hath se juzya na de'n zaleel ho kar" (Quran 9:29)

                    No:58

Mojza e shaqqul qamar.
"Pas aai qayamat aur shaq huwa chand"(54:1)

                    No:59

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam jo ata farmain le lo aur jis se mana kare'n ruk jao. "aur jo kuch tumhe'n Rasool ata farmain wo lo aur jis se mana farmain baaz raho"(Quran  59:7)

                       No:60

ALLAH ke nazdeek Islam pasandeeda deen hai. "Aaj main ne tumhare liye tumhara deen kamil kar diya aur tum par apni nemate'n poori kar di aur tumhare liye Islam ko deen pasand kiya"(Quran 5:3)

                      No:61

"Tum to dar sunane wale ho aur har qaom ke hadi"(Quran 13:7)

                      No:62

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam aakhri Nabi hain. "Mohammad (SallALLAHu Alaihi Wasallam)tumhare mardo'n men kisi ke baap nahe'n han ALLAH ke Rasool hain aur sab nabiyon ke pichle aur ALLAH sab kuch janta hai"(Quran 33:40)

                      No:63

"Wahi hai jis ne apne Rasool ko hidayat aur sachche deen ke sath bheja ke use sab deeno'n par galib kare aur ALLAH kafi hai gawah"(Quran 48:28)

                      No:64

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ko ALLAH paak ne darjo'n buland kiya. "Ye Rasool hain ke hum ne in men ek ko doosre par afzal kiya in men kisi se ALLAH ne kalam farmaya aur koi wo hai jise sab par darjo'n buland kiya"(Quran 2:253)

                      No:65

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ko ALLAH paak ne apna banda e khas farmaya. "Paaki hai use jo apne bande ko rato'n rat le gaya masjid e Haram se masjid e Aqsa tak"

                      No:66

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam pori kaenat ko khaof e khuda ata farmane wale hain. "Badi barkat wala hai wo ke jis ne utara Quran apne banda par jo sare jhan  ko dar sunane wala ho"(Quran 25:1)

                      No:67

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam sari kaenat ke Rasool hain. "Tum farmao aae logo!main tum sab ki taraf ALLAH ka Rasool hu'n"(Quran 7:158)

                      No:68

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam sari kaenat ke Rasool hain. "Aur ham ne tumhe'n na bheja magar rahemat sare jhan ke liye"(Quran 21:107)

                      No:69

"Aur  aae Maheboob!hum ne tum ko na bheja magar aisi risalat se jo tamam aadmiyo'n ko gherne wali hai.khush khabri deta aur dar sunata lekin bahot log nahi jante"(Quran 34:28)

                      No:70

Saheed apni qabro'n men zinda hain. "Aur jo rah e Khuda men mare jain unhe'n murda na kaho balki wo zinda hain han tumhe'n khabar nahi"(Quran 2:154)

                      No:71

Rah e Khuda men jan dene walo'n ko murda guman karne ki mumaneat aur rizq deya jana. "Aur jo ALLAH ki rah men mare gaye hargiz unhe'n murda khayaal na karna wo apne rab ke pas zinda hain rozi pate hain"(Quran 3:169)

                      No:72

Mustafa jan e rahemat SallALLAHu Alaihi Wasallam ka rahemat e aalam hona. "Aur hum ne tumhe'n na bheja magar rahemat sare jhan ke liye"(Quran 21:107)

                      No:73

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam noor hain. "Be shak tumhare pas ALLAH ki taraf se ek noor aaya aur roshan kitab"(Quran 5:15)

                      No:74

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam noor hain. "chah'hete hain ke ALLAH ka noor apne mun se bujha de'n aur ALLAH na mane ga magar apne noor ka poora karna, pade bura mane'n kafir"(Quran 9:32)

                      No:75

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam hamari tarah bashar nahi'n balki sahib e wahi hae'n. "Tum farmao zaheri soorat e bashri me'n to main tum jaisa hu'n mujhe wahi aati hai"(Quran 18:110)

                      No:76

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam khud munawar hain munawar farmane wale hain. "Aur ALLAH ki taraf us ke hukm se bulata aur chamkadene wala aaftab" (Quran 33:46)

                      No:78

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ko istearata'n tara farmana. "Us peyare chmakte tare Mohammed SallALLAHu Alaihi Wasallam ki qasam jab ye meraj se utre"(Quran 53:1)

                      No:79

Fel(kaam) e Maheboob SallALLAHu Alaihi Wasallam ko apna fel farmana. "Aur aae Maheboob wo khak jo tum ne phenki tum ne na phenki balki ALLAH ne phenki" (Quarn 8:17)

                      No:80

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ki jaan ki qasam yaad farmana. "Aae Maheboob tumhari jaan ki qasam be shak wo apne nasha men bhatak rahe hain"(Quran 15:72)

                    No:81

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ki mushaqat ko ALLAH paak ka gawara na farmana. "Aae Maheboob hum ne tum par ye quran utara is liye nahi ke tum mushaqat men pado" (Quran 20:2)

                    No:82

ALLAH rabul izzat ka Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ki bayat ko apni bayat,Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ke hath ko apna hath farmana. "Wo jo tumhari bayat  karte hain wo to ALLAH hi ki bayat karte hain in hato'n par ALLAH ka hath hai"(Quran 48:10)

                    No:83

Rasool SallALLAHu Alaihi Wasallam ke sena e mubarka ki tareef. "Kya hum ne tumhare liye seena kushada na kiya" (Quran 94:1)

                    No:84

Nabi Kareem SallALLAHu Alaihi Wasallam ke Zikr ki bulandi. "Aur hum ne tumhare liye tumhara zikr buland kardiya"(Quran 94:4)

                    No:85

Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ki khobiya'n be shumar hain. "Aae Maheboob be shak hum ne tumhe'n be shumar khobiya'n ata farmae'n"(Quran 108:1)

                    No:86

ALLAH kareem ka Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ko apni muhabbat men gum farmana. "Aur tumhe'n apni muhabbat men khud rafta paya to apni taraf rah di"(Quran 93:7)

                    No:87

Saher e Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ki qasam yad farmana. "Mujhe is saher ki qasam ke aae Maheboob tum is saher men tashreef farma ho"(Quran 90:4)

                    No:88

Har ghadi darjat e Nabi SallALLAHu Alaihi Wasallam ko buland farmana. "Be shak pichli tumhare liye paheli se bahetar hai"(Quran 93:4)

                    No:89

Jab ALLAH paak ne farishto'n ko hukm diya aadam ko sajda kare'n to shaitan magroor ho kar bol utha. "bola mujhe zeba nahi ke main bashar ko sajda karo'n jise tu ne bajti mitti se banaya jo siyha bo dar gare se thi"(Quran 15:33)

                    No:90

Hazrat Eesa alahissalam ke hawale se quran shareef men farman hai. "Aur salamti hai us par jis din paida huwa aur jis din wisal kare ga aur jis din zinda uthaya jae ga"(Quran 19:15)

                    No:91

ALLAH ke muqaddas nabiyo'n par salam bhejna sunnat e ellahiya hai. "Nuoh par salam ho jahan walo'n men"(Quran 37:79)

                    No:92

ALLAH ke muqaddas nabiyo'n par salam bhejna sunnat e ellahiya hai. "salam ho Ibraheem par"(Quran 37:109)

                    No:93

ALLAH ke muqaddas nabiyo'n par salam bhejna sunnat e ellahiya hai. "salam ho Moosa aur Haroon par"(Quran 37:120)

                    No:94

ALLAH ke muqaddas nabiyo'n par salam bhejna sunnat e ellahiya hai. "salam ho ilyas par"(Quran 37:130)

                    No:95

ALLAH ke muqaddas nabiyo'n par salam bhejna sunnat e ellahiya hai. "aur salam hai paigambaro'n par"(Quran 37:181)

                    No:96

Hazrat Eesa alahissalam ka apni qaom ke khane aur bachane ki khabar dena. "aur tumhe'n batata hu'n jo tum khate aur jo apne ghar men jama kar rakhte ho"(Quran 3:49)

                    No:97

Sabr aur namaz se madad mangne ka hukm. "Aae imaan walo sabr aur namaz se madad chah'ho"(Quran 2:153)

                    No:98

ALLAH ke bando'n ko himayat aur madad ke liye pukarna. "Aae Rab humare hume'n is basti se nikal jis ke log zalim hain aur hume'n apne pas se koi himayati de de aur hume'n apne pas se koi madadgar de de"(4:75)

                    No:99

Neki aur parhez gari men madad ka hukm. "Aur neki aur parhez gari par ek doosre ki madad karo"(Quran 5:2)

                    No:100

ALLAH madad gar hai Rasool aur momeneen bhi. "tumhare dost(madad gar)nahe'n magar ALLAH aur us ka Rasool aur imaan wale ke namaz qaim karte hain aur zakat dete hain aur ALLAH ke huzoor jhuke houe hain"(Quran 5:55)

                    No:101

"Aur jo ALLAH aur us ke Rasool aur musalmano'n ko apna dost (madad gar) banae to be shak ALLAH hi ka guroh galib hai"(Quran 5:56)

No comments:

Post a Comment